Rahat Fateh Ali Khan – Teri Ankhon Ke Dariya Ka Lyrics

Teri Aankhon Ke Dariya Ka Lyrics
Love To Share

Teri Aankhon Ke Dariya Ka Lyrics from Back To Love Album which is released on June 2014. Sung by Rahat Fateh Ali Khan. Zaroori Tha Lyrics penned by Khalil-Ur-Rehman.

Zaroori Tha Song Credits:
Song Title: ज़रूरी था Zaroori Tha 
Album: Back 2 Love(Year-2014)
Music Director: Sahir Ali Bagga
Lyricist: Khalil-Ur-Rehman Qamar
Singer: राहत फ़तेह अली खान Rahat Nusrat Fateh Ali Khan
Star Casts: Gauhar Khan, Kushal Tandon
Music Label: Universal Music India

तेरी आँखों की दरिया का लिरिक्स Teri Aankhon Ke Dariya Ka Lyrics in hindi

लफ्ज कितने.. ही तेरे पैरों से लिपटे होंगे
तुने जब आखरी ख़त मेरा जलाया.. होगा
तुने जब फूल, किताबों से निकाले होंगे
देने वाला भी तुझे, याद तो आया होगा

आ.. आ..
तेरी आँखों के दरिया का
उतरना भी ज़रूरी था
मोहब्बत भी ज़रूरी थी
बिछडना भी ज़रूरी था

जरुरी था के हम दोनों
तवाफे आरजू करते
मगर फिर आरजूओं का
बिखरना भी ज़रूरी था
तेरी आँखों के दरिया
का उतरना भी ज़रूरी था

बताओ याद है तुमको
वो जब दिल को चुराया था
चुराई चीज़ को तुमने
खुदा का घर बनाया था

वो जब कहते थे मेरा नाम
तुम तसबी में पढ़ते हो
मोहब्बत की नमाज़ों को
कज़ा करने से डरते हो
मगर अब याद आता है
वो बातें थी महज़ बातें

कहीं बातों ही बातो में
मुकरना भी ज़रूरी था
तेरी आँखों के दरिया
का उतरना भी ज़रूरी था

आ.. आ..
वही हैं सुरते अपनी
वही मैं हूँ वही तूम हो
मगर खोया हुआ हूँ मैं
मगर तुम भी कहीं गूम हो

मोहब्बत में दगा की थी
सो काफिर थे सो काफिर हैं
मिली हैं मंजिलें फिर भी
मुसाफिर थे, मुसाफिर हैं

तेरे दिल के निकाले हम
कहाँ भटके कहाँ पहुँचे
मगर भटके तो याद आया
भटकना भी ज़रूरी था
महोब्बत भी ज़रूरी थी
बिछडना भी ज़रूरी था

जरुरी था के हम दोनों
तवाफे आरजू करते
मगर फिर आरजूओ का
बिखरना भी ज़रूरी था
तेरी आँखों के दरिया
का उतरना भी ज़रूरी था

teri ankho ke dariya ka lyrics

Lafz kitne.. hi tere pairon se, lipte honge
Tune jab aakhiri khat mera jalaya.. hoga
Tune jab phool, kitabon se nikale honge
Dene wala bhi tujhe, yaad toh aaya hoga

Aa.. aa..
Teri aankhon ke dariya ka
Utarna bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi
Bichhadna bhi zaroori tha

Zaroori tha ki hum dono
Tawaaf-e-aarzoo karte
Magar phir aarzuon ka
Bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka
Utarna bhi zaroori tha

Batao yaad hai tumko
Woh jab dil ko churaya tha
Churayi cheez ko tumne
Khuda ka ghar banaya tha

Wo jab kehte thhe mera naam
Tum tasbih mein padhte ho
Mohabbat ki namazo ko
Kaza karne se darte ho
Magar ab yaad aata hai
Wo batein thi mehez batein

Kahin baaton hi baaton mein
Mukarna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka
Utarna bhi zaroori tha

Aa.. aa..
Wahi hain suratein apni
Wahi main hun, wahi tum ho
Magar khoya hua hun main
Magar tum bhi kahin gum ho

Mohabbat mein dagaa ki thi
So kafir the so kafir hain
Mili hain manzilein phir bhi
Musafir thhe, musaafir hain

Tere dil ke nikale hum
Kahan bhatke, kahan pahunche
Magar bhatke toh yaad aaya
Bhatakna bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi
Bichhadna bhi zaroori tha

Zaroori tha ke hum dono
Tawaaf-e-aarzoo karte
Magar phir aarzuon ka
Bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka
Utarna bhi zaroori tha


Love To Share